How to make Kashmiri Chaye (PINK TEA) at home with restaurant-style, color and taste. Welcome to all my viewers in “Fari Ka Kitchen”, Friends aaj hum aap ko Kashmiri Chaye bananay ka tarika batayen gen, jis ka color paknay k baad bohat hi peyara lagta hai, or taste bhi bohat mazay ka hota hai, or Ghar aaye mehmaan ko serve karain to acha impression unn per parta hai aap ka.
Khub bhi piyen or Mehmaano ko bhi pilaayen PINK TEA.
Iss Kashmiri Chaye ka sab se barra fayida ye hai k app issay banna kar air tight jar main rakh saktay hain almost 3 se 4 haftay tak, or jab bhi aap ka dil kiya Kashmiri Chaye peenay ka, to jitni aap ne bannani hai utna doodh lain, 1 cup doodh ko boil karain or uss me 2 chamach tea spoon Kashmiri Chaye add karain or enjoy Karain, bachon or barron sab ki passand hai.
How to make Kashmiri Chaye (PINK TEA) at home with restaurant-style color and taste
Ab main ap ko un cheezon ka bata hon jo iss main use hongi.
Ingredients for making Kashmiri Chaye (PINK TEA)
1: Thanda paani baraf wala 8 cup
2: 3 piece baad e khatai k phool, ye ap ko pansaar ki dukan se aasani k saath mil jaayen gen.
3: Choti ilaayichi 12 pieces
4: Pink Food Color
5: Kashmiri Chaye 3 to 4 khanay k chamach
5: Kashmiri Chaye 3 to 4 khanay k chamach
Preparation of Kashmiri Chaye (PINK TEA)
Sab se pehlay aik daigchi (Bartan) lain len
Ab uss bartan main 3 cup full thanda baraf wala paani daalain
Or saathi hi 3 pieces Baad-e-Khatai k phool daal dain
Or saath hi 12 pieces ilaayichi k uss bartan main daal dain
Or aag jala kar cholhay par rakh dain or jab paani boil honay lagay to uss main half tea spoon khanay ka meetha soda daal dain or ussay achi tarhan paknay dain or saath saath chamach se hilatay jaayen jab tak woh paani pak kar 1 cup ya iss se kuch zeyada na reh jaaye.
Jab paani 1 cup reh jaaye to halka halka PINK color zahir hona shuru ho jaaye ga, ab phir iss main 2 cup full thanda baraf wala paani daal dain.
Ab aap ne iss ko phir se pakaana hai yahan tak k paani phir se 1 cup reh jaaye, jab paani pak kar 1 cup reh jaaye to phir se iss main 3 cup paani or daal dain, iss ka kheyaal aap ne rakhna hai k paani thanda baraf wala hona chahiye.
Ab phir se pakana hai, jab paani aadha reh jaaye to bartan ko cholhay se utaar lain or thanda honay k liye rakh dain.
Jab Kashmiri Chaye ka mixture thanda ho jaye to ussa main thora sa PINK FOOD COLOR daal kar aik air tight jar main daal kar mehfoz kar lain or fridge main rakh lain.
Almost 1 maheena aap issay istimaal kar saktay hain easily.
Aap ki tasty, color full Kashmir Chaye ready hai.
Jab bhi aap ka Kashmir Chaye (PINK TEA) peena ka dil karay to bas aap ne karna ye hai k jitna aap ne peena hai utna doodh garam (Boil) karain or uss main 2 baray chamach Kashmiri Chaaye k daal daal kar thora sa hila lain, or bas PINK TEA ready hai.
Enjoy Karin … Tasty, creamy , color full PINK TEA, Khud bhi peeyen or Ghar walaon ko bhi peelayen, Mehmaan ghar main aa jayen unhain bhi peelayen.
Apna bohat kheyaal rakhain
“Fari Ka Kitchen” main aap see jald mulakaat hogi, INSHA-ALLAH
Aik new and tasty recipe ka saath.
================
No comments:
Post a Comment