Monday, December 16, 2019 FARI KA KITCHEN: December 2019

Wednesday, 11 December 2019

How to make delicious Dhaba Style Lahori Chanay at home


How to make delicious Dhaba Style Lahori Chanay at home


How to make delicious Dhaba Style Lahori Chanay at home

Fari ka Kitchen  main aaj hum aap ki khidmat main ek baar phir haazir hain aik new recipe ka saath,  Friends aaj ham aap ko bataayen gey delicious Lahori Chanay bananay ka tarika,  jo k bohat hi mazay k bantay hain.

Main ne bhi kafi martba bana chukka hun, bohat tasty hotay hain, aap bhi zaror banaayen or apna ghar walon ko khilaayen.

Delicious Lahori Chanay banana k liye humain jo cheezain chahiye hongi wo neechay list main ap daikh saktay hain, or aap unhain note kar lain ta kay koi item miss na ho jaye.


Ingredients

1:       Chickpeas (Chanay) ublay huye 4 cup

2:       1 medium size ka aalo (Potato)

3:       Salt (Namak) 1 chaye ka chamach

4:       Red Chilli (Mirch) Powder 1 chaye ka chamach

5:       Red Chilli Crushed (Kutti huyi Red Mirch) 1 chaye ka chamach

6:       Turmeric Powder (Haldi) aadhi (Half) chotti chamach

7:       Black Pepper (Kali Mirch Powder) aadha (Half) chaye ka chamach

8:       Coriander Powder (Sokha Dhaniya Pissa Hua) 1 khanay ka chamach

9:       Cumin Powder (Zeera) 1 khanay ka chamach (iss ko thora sa pees kar tawway per halki aag per fry kar lain

10:     Amchor Powder 1 khanay ka chamach

11:     Onion (Peyaaz) 2 adad uss ko bareek chotta chotta kaat lain

12:     Ginger and Garlic (Lehsan or Adrak) ka paste bana lain 2 khanay k chamach

13:     Fresh Coriander (Sabz dhaniya katta hua)

14:     Yogurt (Dahi) 4 khanay k chamach

15:     Cooking Oil half cup (Aadha Cup) se thora sa zeyada


Preparation of Lahori Channay

STEP 1:          Half cup Channay or 1 Potato ko chopper main daal kar paste bana lain

STEP 2:          Aik bartan main Cooking Oil half cup (Aadha Cup) se thora sa zeyada daal dain, or jab oil thora garam ho jaye to uss main 2 bareek kattay huye Onion (Peyaaz) daal dain or halki aag (fire) per fry karna start kar dain or light brown honay tak peyaaz ko fry kartay rahain, jab Peyaaz halkay brown ho jaayen to uss main Ginger and Garlic (Lehsan or Adrak) ka paste daal dain or issay bhi achi tarhan se fry kar lain.


STEP 3:      Ab iss kay andar Salt (Namak) daal dain

STEP 4:      Red Chilli (Mirch) Powder daal dain

STEP 5:      Red Chilli Crushed (Kutti huyi Red Mirch) daal dain

STEP 6:      Turmeric Powder (Haldi) daal dain

STEP 7:      Achi tarhan se sab masaalon ko mix kar lain or 2 minute tak masaalon ko bhoon lain achi tarhan se, yani (fry) kar lain.

STEP 8:       Ab iss ka andar  Half cup Channay or 1 Potato ka jo paste bana kar rakha tha wo daal dain or achi tarhan se Channay or Aalo k paste ko iss main mix kar lain, or 1 minute tak paknay dain saath ussay chamach se mix kartay rahain.

STEP 9:      Ab iss main Coriander Powder (Sokha Dhaniya Pissa Hua) daal dain

STEP 10:    Cumin Powder (Zeera) iss main daal dain

STEP 11:    Amchor Powder iss main daal dain

STEP 12:    Black Pepper (Kali Mirch Powder) daal dain

STEP 13:    Or ab inn sab masaalon ko phir se achi tarhan se mix kar lain or achi tarhan bhoon lain, or fry kar lain,  iss massalay ko bohat hi achi tarhan se bhoonna hai, fry karna hai, wo iss liye k issi masaalay main hi Channo ka taste bannay ga, iss liye jitna acha ye fry hoga utna hi acha taste aaye ga, darmiyni aag (fire) per iss ko achi tarhan se bhoontay rahain, fry kartay rahain or jahan aap ko mehsoos ho kay masaala neechay lag raha hai to thora sa paani daal lain or mix kartay huye achi tarhan se bhoon lain, fry kar lain. Jab masaala achi tarhan fry ho jaye to step 14 ko follow karain.

STEP 14:    Ab iss main boil kiye huye jo Channay aap ne rakhay hain wo iss main daal dain.

STEP 15:    Or Channo ko achi tarhan se mix kar lain masaalay k andar

STEP 16:    Ab iss k andar 1 cup or aadha cup ½ cup paani daal dain or achi tarhan se mix kar lain

STEP 17:    Achi tarhan mix karnay k baad iss ko 4 se 5 minute k liye dam dey dain

STEP 18:    Ab iss k andar Yogurt (Dahi) daal dain or Dahi ko achi tarhan se iss main mix kar lain or 4 se 5 minute k liye bhoontay, fry kartay rahain.

STEP 19:    LAHORI CHANNAY ka saalan tayyar ho chukka hai, ab iss k andar sabz dhaniya daal dain, or thori si adrak bareek kaat k daal dain.

Mazay daar Lahori Cannay ready hain bilkull bazaar jesay, khub bhi khaayen, ghar walon ko, Mehmaano ko bhi khilaayen..   or Enjoy taste enjoy karain.


“Fari K Kitchen” aap se phir mulakaat hogi aik new recepie k saath, tab tak k liye apna bohat kheyaal rakhain…  BYE!

=================

Saturday, 7 December 2019

How to make Kashmiri Chaye (PINK TEA) at home with restaurant style, color and taste

How to make Kashmiri Chaye (PINK TEA) at home with restaurant style, color and taste

How to make Kashmiri Chaye (PINK TEA) at home with restaurant-style, color and taste. Welcome to all my viewers in Fari Ka KitchenFriends aaj hum aap ko Kashmiri Chaye bananay ka tarika batayen gen, jis ka color paknay k baad bohat hi peyara lagta hai, or taste bhi bohat mazay ka hota hai, or Ghar aaye mehmaan ko serve karain to acha impression unn per parta hai aap ka.


Khub bhi piyen or Mehmaano ko bhi pilaayen PINK TEA.


Iss Kashmiri Chaye ka sab se barra fayida  ye hai k app issay banna kar air tight jar main rakh saktay hain almost 3 se 4 haftay tak, or jab bhi aap ka dil kiya Kashmiri Chaye peenay ka, to jitni aap ne bannani hai utna doodh lain, 1 cup doodh ko boil karain or uss me 2 chamach tea spoon Kashmiri Chaye add karain or enjoy Karain,  bachon or barron sab ki passand hai.


How to make Kashmiri Chaye (PINK TEA) at home with restaurant-style color and taste



Ab main ap ko un cheezon ka bata hon jo iss main use hongi.


Ingredients for making Kashmiri Chaye (PINK TEA)

1:      Thanda paani baraf wala 8 cup

2:      3 piece baad e khatai k phool, ye ap ko pansaar ki dukan se aasani k saath mil jaayen gen.

3:      Choti ilaayichi 12 pieces

4:      Pink Food Color

5:      Kashmiri Chaye 3 to 4 khanay k chamach


Preparation of Kashmiri Chaye (PINK TEA)

Sab se pehlay aik daigchi (Bartan) lain len

Ab uss bartan main 3 cup full thanda baraf wala paani daalain

Or 3 to 4 khanay k chamach Kashmiri Chaye daal dain

Or saathi hi 3 pieces Baad-e-Khatai k phool daal dain

Or saath hi 12 pieces ilaayichi k uss bartan main daal dain

Or aag jala kar cholhay par rakh dain or jab paani boil honay lagay to uss main half tea spoon khanay ka meetha soda daal dain or ussay achi tarhan paknay dain or saath saath chamach se hilatay jaayen jab tak woh paani pak kar 1 cup ya iss se kuch zeyada na reh jaaye.

Jab paani 1 cup reh jaaye to halka halka PINK color zahir hona shuru ho jaaye ga, ab phir iss main 2 cup full thanda baraf wala paani daal dain.

Ab aap ne iss ko phir se pakaana hai yahan tak k paani phir se 1 cup reh jaaye, jab paani pak kar 1 cup reh jaaye to phir se iss main 3 cup paani or daal dain, iss ka kheyaal aap ne rakhna hai k paani thanda baraf wala hona chahiye.

Ab phir se pakana hai, jab paani aadha reh jaaye to bartan ko cholhay se utaar lain or thanda honay k liye rakh dain.

Jab Kashmiri Chaye ka mixture thanda ho jaye to ussa main thora sa PINK FOOD COLOR daal kar aik air tight jar main daal kar mehfoz kar lain or fridge main rakh lain.

Almost 1 maheena aap issay istimaal kar saktay hain easily.

Aap ki tasty, color full Kashmir Chaye ready hai.

Jab bhi aap ka Kashmir Chaye (PINK TEA) peena ka dil karay to bas aap ne karna ye hai k jitna aap ne peena hai utna doodh garam (Boil) karain or uss main 2 baray chamach Kashmiri Chaaye k daal daal kar thora sa hila lain, or bas PINK TEA ready hai.

Enjoy Karin … Tasty, creamy , color full PINK TEA, Khud bhi peeyen or Ghar walaon ko bhi peelayen,  Mehmaan ghar main aa jayen unhain bhi peelayen.


Apna bohat kheyaal rakhain

Fari Ka Kitchen  main aap see jald mulakaat hogi, INSHA-ALLAH
Aik new and tasty recipe ka saath.


================